Naseem Dehlvi

matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
mātam bahut rahā mujhe ashk-e-chakīda kā
āḳhir ko paas aa hī gayā nuur diida kā
nām-firāq phir na liyā maiñ ne umr-bhar
thā zā.iqa zabāñ pe azāb-e-chashīda kā
ab vo mazā nahīñ lab-e-shīrīñ ke qand meñ
chūsā huā hai ye kisī ḳhidmat-rasīda kā
ai charḳh-e-pīr-zor javānī se dar-guzar
ab paas chāhiye tujhe pusht-e-ḳhamīda kā
abrū meñ ḳham jabīñ meñ shikan aañkh meñ ġhazab
kyā mudda.ā hai qātil-e-ḳhanjar-kashīda kā
daulat ġharaz na thī jo duā se huī husūl
thā aur mudda.ā mire dast-e-kashīda kā
ai sakinān-e-charḳh-e-muallā bacho bacho
tūfāñ huā buland mire āb-dīda kā
vo nā-tavāniyāñ haiñ ki jism-e-za.īf par
jaama hai ankabūt ke dām-e-tanīda kā
be-dīd diid meñ nahīñ aate kisī tarah
ġham āshiyāñ hai tā.ir-e-rañg-parīda kā
uḌte haiñ hosh koī bhalā kis tarah sune
afsāna tere vahshī-e-az-ḳhud-ramīda kā
o gul ḳhayāl hai araq-e-jism kā tire
shīsha hai dil hamārā gulāb-e-chakīda kā
yād-e-nigāh-e-mast se hai dil ko intishār
paimāna hai ḳharāb sharāb-e-chakīda kā
qātil ḳhudā se Dar havas-e-zab.h tā-kujā
naala na sun kisī ke gulū-e-burīda kā
mastī ke valvaloñ kā javānī meñ lutf hai
piirī meñ dhyān chāhiye qadd-ḳhamīda kā
jalve dikhā rahā hai ye farsh-e-zamurradīñ
sabza mazār par hai giyāh-e-damīda kā
chaḌhtī hai roz chādar-e-gul jalte haiñ charāġh
ye Dher hai zarūr kisī barguzīda kā
bāloñ ko ai 'nasīm' rañgoge ḳhizāb se
sak ko asā banāoge pusht-e-ḳhamīda kā
Top Urdushayar.com