mirī jaan rañj ghaTā.iye qadam aage ab na baḌhā.iye
idhar aa.iye idhar aa.iye idhar aa.iye idhar aa.iye
khaḌe kab se ham sar-e-rāh haiñ kahīñ mar chukeñ ki tabāh haiñ
hadaf-e-ḳhadañg-e-nigāh haiñ zarā aañkh idhar bhī milā.iye
bhalā aanā aap kā kaam hai ye ġhalat tamām kalām hai
ajī bas hamārā salām hai kahīñ aur bāteñ banā.iye
tah-e-teġh tez hai ik jahāñ koī kushta hai koī nīm-jāñ
jo na ho dareġh tū mehrbāñ koī haath idhar bhī lagā.iye
kabhī mai se muñh ko na moḌiye havas-e-sharāb na chhoḌiye
sar-e-mohtasib hai na toḌiye jo kamāl-e-ġhaiz par aa.iye
ye kamāl-e-lutf hai sāqiyā yahī hai havas yahī mudda.ā
rahe hosh-e-sar na ḳhayāl-e-pā agar aisī mai hai to lā.iye
jo vufūr-e-chashm-e-pur-āb ho to jahān taḳhta-e-āb ho
abhī nuuh kā sā azaab ho agar ashk chand bahā.iye
vo kahā adū se hai maiñ ne kyā ki hue haiñ aap jo yuuñ ḳhafā
ye ġhazab ye jhuuT ye iftirā mire sāmne to bulā.iye
ġhazal aisī kāmil-e-vazn sun mutafā.ilun mutafā.ilun
hai 'nasīm' tāqat-e-hosh sun koī sher aur sunā.iye