Naseem Dehlvi

wasl ki raat hai aaKHir kabhi uryan honge

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866

vasl raat hai āḳhir kabhī uryāñ hoñge

maiñ pashemāñ huuñ to kyā vo na pashemāñ hoñge

aap mar jā.ūñgā aa ki na aa o zālim

aaj vo din hai ki mujh par mire ehsāñ hoñge

ġhair shakl baneñge kabhī ḳhud un shauq

ham bhī dekheñ to kahāñ tak na vo pursāñ hoñge

dil jo rūThā to manāne se kahīñ mantā hai

ye sitam bā.is-e-hasrat tujhe ai jaañ hoñge

aaj bahrūp adū hai banāyā maiñ ne

ab to vo bhī mire andāz pe qurbāñ hoñge

un ko pahneñge mire dasht-e-junūñ ke kāñTe

ye vo dāman haiñ ki āḳhir ko garebāñ hoñge

barhamī dūrī-e-jānāñ meñ unheñ hogī 'nasīm'

mere naale asar-e-fikr-e-ġhazal-ḳhvāñ hoñge

Top Urdushayar.com