Naseem Dehlvi

gasht na kar idhar-udhar be-KHabari jahan mein hai

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
gasht na kar idhar-udhar be-ḳhabarī jahāñ meñ hai
apne hī dil meñ ġhaur kar dekh makīñ makāñ meñ hai
raat tamām kho chukā niiñd se sair ho chukā
jaag ki ḳhuub so chukā kūs-e-ajal fuġhāñ meñ hai
kis se misāl tujh ko duuñ ġhair kahāñ jo naam luuñ
haal kahūñ to kyā kahūñ qufl-e-adab zabāñ meñ hai
paañv bahut thakā chukā shaam kā qurb aa chukā
dauḌ ki vaqt jā chukā tū pas-e-kārvāñ meñ hai
dekh kahīñ daġhā na ho jism se jaañ judā na ho
jald sambhal ḳhatā na ho tīr-e-ajal kamāñ meñ hai
manzil-e-gor tañg hai pā-e-farāġh lañg hai
tujh ko abhī umañg hai aur hī kuchh gumāñ meñ hai
tujh ko 'nasīm' kyā huā dīd-e-jahāñ se dil uThā
rañg-e-fareb jā-ba-jā har gul-e-bostāñ meñ hai
Top Urdushayar.com