Naseem Dehlvi

hathon mein aaj ki shab mehndi lagaiyega

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
hāthoñ meñ aaj kī shab mehñdī lagā.iyegā
samjhe ye rañg ham bhī kuchh rañg lā.iyegā
ye shoḳhiyāñ tumhārī likkhī huī haiñ dil par
āḳhir kabhī to mere qaabū meñ ā.iyegā
phir maiñ bhī kuchh kahūñgā dekho zabān roko
phir muñh chhupā ke mujh se aañsū bahā.iyegā
zāt-e-sharīf ho tum maiñ ḳhuub jāntā huuñ
tūfān aur koī mujh par uThā.iyegā
haañ sham.a kā maiñ gul huuñ nāseh kī guftugū huuñ
baḌh jā.ūñgā jahāñ tak mujh ko ghaTā.iyegā
ummīd-vār baaqī kuchh aur rah ga.e haiñ
phir bhī naqāb-e-gesū muñh se haTā.iyegā
be-vaj.h ye nahīñ hai andāz guftugū kā
phir kal kī tarah ai jaañ bāteñ sunā.iyegā
maiñ huuñ mizāj-qātil lāzim hai ḳhauf mujh se
jhūTī qasam nahīñ huuñ har-dam jo khā.iyegā
ye kyuuñ hai nā-umīdī dargāh-e-kibriyā se
jo kuchh ki aarzū hai vaisā hī pā.iyegā
mushtāq ne to jaañ dī gul-gū libās kyuuñ ho
ye rañg-e-nau-urūsī kis ko dikhā.iyegā
dekho raqīb aa.e dekho raqīb aa.e
kyā muñh ab aap kā hai jo muñh chhupa.iyegagā
ham ḳhuub jānte haiñ ustādiyāñ tumhārī
mahfil meñ baiThe baiThe āñkheñ milā.iyegā
āḳhir kuchh intihā bhī be-rahmiyoñ kī sāhab
kahiye to āshiqoñ ko kab tak satā.iyegā
mumkin nahīñ jo niyyat badle tumhārī ai jaañ
kyā qahr aaj kī shab ham par na lā.iyegā
kuchh lahza aur Thahro tā-rūh tan se nikle
aa.egī aur aafat gar aap jā.iyegā
samjhe hue haiñ jo kuchh dil meñ bhare hue hai
kaahe ko ā.iyegā kaahe ko ā.iyegā
aao to jald aao dam-bhar ke ba.ad ai jaañ
mujh ko na pā.iyegā mujh ko na pā.iyegā
sun lījiyegā jo kuchh muddat se aarzū hai
fursat ho gar mayassar dam-bhar ko ā.iyegā
kuchh duur maiñ nahīñ huuñ lāzim hai yaad karnī
mānind-e-dil mujhe bhī pahlū meñ pā.iyegā
ThanDī kabhī na hoñgī kyā garmiyāñ tumhārī
āḳhir 'nasīm' kā dil kab tak jalā.iyegā
Top Urdushayar.com