Naseem Dehlvi

dil ke aate hi ye naqsha ho gaya

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
dil ke aate hī ye naqsha ho gayā
kyā batā.ūñ dosto kyā ho gayā
tum ne fursat paa.ī ghar baiThe tabīb
mar gayā bīmār achchhā ho gayā
kar chukā thā kaam afsūn-e-raqīb
aaj ham se un se parchhā ho gayā
un pe dil aayā baḌī mushkil paḌī
mudda.ī pahlū meñ paidā ho gayā
haa.e betābī ne merī kyā kiyā
haal sab un par huvaidā ho gayā
ek zālim par tabī.at aa ga.ī
phir vahī ab haal merā ho gayā
shukr hai paidā kiyā ḳhāliq ne jism
ruuh kā kuchh din ko pardā ho gayā
khul ga.e zaḳhmoñ ke muñh achchhā huā
dard ke baḌhne ko rasta ho gayā
tū hī chal ai ruuh josh-e-shauq hai
ḳhat ke aane meñ to arsa ho gayā
vaqt-e-bad kuchh pūchh kar aatā nahīñ
hañste hañste un se jhagḌā ho gayā
haal kyuuñ abtar hai is darja 'nasīm'
sach kaho dil kis pe shaidā ho gayā
Top Urdushayar.com