Naseem Dehlvi

ashk aankhon mein Dar se la na sake

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
ashk āñkhoñ meñ Dar se lā na sake
dil kī bhaḌkī huī bujhā na sake
na hilī jab zabāñ nazākat se
rah ga.e dekh kar bulā na sake
thiiñ jo us meñ hayā kī kuchh bāteñ
shikva merā vo lab pe lā na sake
kyā hue tere hausle ai ashk
harf-e-taqdīr ko miTā na sake
thā ye ḳhatra kahīñ pasand na hoñ
gāliyāñ bhī mujhe sunā na sake
go bahut pās-e-ġhair thā lekin
aañkh ham se bhī vo churā na sake
paañv chūmā kiye hinā kī tarah
jab koī aur rañg lā na sake
ḳhāmushī thī ba-shakl-e-zaḳhm mujhe
lab tak apne savāl aa na sake
na malī us ne paañv meñ mehñdī
rañg apnā adū jamā na sake
iztirāb-e-qazā huā ye 'nasīm'
ki gale bhī use lagā na sake
Top Urdushayar.com