Naseem Dehlvi

fasl-e-gul aai hai kal aur hi saman honge

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
fasl-e-gul aa.ī hai kal aur hī sāmāñ hoñge
mere dāman meñ tire dast-o-garebāñ hoñge
sab ye kāfir haiñ hasīnoñ kī na sun tū ai dil
chaar din ba.ad yahī dushman-e-īmāñ hoñge
kis tarah jā.eñge māne.a hai hameñ ḳhauf-e-mizāj
zulf pur-ḳham hai to kuchh vo bhī pareshāñ hoñge
girya anjām-e-tabassum hai na hañs ai ġhāfil
ḳhuun ro.eñge vahī zaḳhm jo ḳhandāñ hoñge
yaad aa.egā pas-e-marg hamārā ye kamāl
haal khul jā.egā jab ḳhaak meñ pinhāñ hoñge
ḳhāna-zādoñ ko kahāñ qaid-e-mohabbat se farāġh
ham vo bulbul haiñ yahīñ ḳhāk-e-gulistāñ hoñge
daur-e-har-naḳhl kareñge sifat-e-gard 'nasīm'
ham pas-e-marg bhī qurbān-e-gulistāñ hoñge
Top Urdushayar.com