sun le ye iltimās mirā dostāna hai
hushiyār ho ki tīr-e-ajal kā nishāna hai
kab tak rahegī masnad-e-kam-ḳhvāb zer-e-pā
kaahe ḳhamīda yaar tirā shāmiyāna hai
duniyā ke maḳhmase haiñ ye farzand-o-aqrabā
begāna sab se ho ki ajal kā yagāna hai
ai andalīb-e-jān-e-chaman jism par na phuul
vīrāna ek roz tirā āshiyāna hai
anfās-e-musta.ār pe kyā e.atibār-e-zīst
ik dam meñ misl-e-mauj-e-sabā to ravāna hai
ye jalva-e-hā-e-bū-qalmūñ be-sabāt haiñ
hai zindagī tilism-e-jahāñ ik fasāna hai
ruktī nahīñ hai baag kisī shahsavār se
har-dam samand-e-umr ko ik tāziyāna hai
kyā sar-kashān-e-dahar ke qisse nahīñ sune
kyā ho ga.e vo log kahāñ vo zamāna hai
kahnā thā jo 'nasīm' tujhe sab sunā chuke
nazdīk iḳhtitām tirā kārḳhāna hai