Naseem Dehlvi

nae Dhab ka kuchh josh-e-sauda hua hai

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
na.e Dhab kā kuchh josh-e-saudā huā hai
ḳhudā jaane ab ke mujhe kyā huā hai
ta.alluq un āñkhoñ se paidā huā hai
bahut din kā ye ḳhvāb dekhā huā hai
na aalam meñ tujh sā na mujh sā jahāñ meñ
na aisā huā hai na vaisā huā hai
na le qais aage mire nām-e-vahshat
abhī kal kī hai baat paidā huā hai
phir uThtā hai dūd-e-mohabbat jigar se
vahī haal aglā sā merā huā hai
ye ghar-bār hai dīda-e-ashk-za se
mirā dāman āġhosh-e-dariyā huā hai
vo vādī-e-aiman pe mauqūf kyā hai
hamārā har ik dasht dekhā huā hai
zarā dam to lene de ai chashm-e-jādū
baḌī muddatoñ meñ dil achchhā huā hai
kahā maiñ ne tanhā.ī hai baat sun lo
kahā hañs ke tum ko to saudā huā hai
taraqqī pe hai naujavānī tumhārī
abhī kyā huā hai abhī kyā huā hai
hijāb-e-nazar se khule bhed dil ke
abas ham se zāhir meñ pardā huā hai
hamārī tumhārī to haiñ dil kī bāteñ
na maano agar us kā charchā huā hai
na ghabrāo jaanā ajī ham bhī samjhe
kahīñ aur bhī aaj va.ada huā hai
na māneñge ham aaj to le chaleñge
bahut roz imroz fardā huā hai
agar tum bhī dekho to rone lagoge
mirī jaan ye haal apnā huā hai
'nasīm' ab kahāñ qadr-dān-e-suḳhan haiñ
kahe sher ye bhī jo charchā huā hai
Top Urdushayar.com