Naseem Dehlvi

aabaad gham-o-dard se virana hai us ka

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
ābād ġham-o-dard se vīrāna hai us kā
TuuTā huā jo dil hai vo kāshāna hai us kā
jis dil meñ ki hai shauq vo paimāna hai us kā
jis aañkh meñ hai kaif vo mai-ḳhāna hai us kā
jab dekhiye kahtā hai vahī zikr sunāo
ma.alūm huā shauq bhī dīvāna hai us kā
behosh agar maiñ huuñ to bā-hosh kahāñ hai
jo ḳhalq hai is dahr meñ dīvāna hai us kā
din-rāt hai ye maskan-e-anvār-e-tasavvur
siina jise kahte haiñ parī-ḳhāna hai us kā
joban kī safā.ī se phisaltī haiñ nigāheñ
paḌtī hai jidhar aañkh parī-ḳhāna hai us kā
ai dil havas-e-vasl se mushtāq haiñ mahrūm
jaañ avval-e-dīdār meñ begāna hai us kā
jo sīna-e-raushan hai vo hai manzil-e-ulfat
jo dil sifat-e-sham.a hai parvāna hai us kā
kahte haiñ jise husn vo hai shama-e-jahāñ-tāb
kahte haiñ jise ishq vo parvāna hai us kā
jab fasl-e-gul aatī hai sadā detī hai vahshat
zanjīr kā gul nāla-e-mastāna hai us kā
dekhā to safar ruuh ko hotā hai usī se
kahte haiñ jise maut vo parvāna hai us kā
gauhar se fuzūñ dīda-e-āshiq ke haiñ aañsū
dāman meñ hai ma.ashūq ke jo daana hai us kā
kuchh rutba-e-āshiq se bhī ai jaañ ho ḳhabar-dār
sāmān ka.ī roz se shāhāna hai us kā
muñh āshiq-e-sādiq ke na chaḌh vā.iz-e-makkār
har haal meñ jo haal hai rindāna hai us kā
āgāh nahīñ qissa-e-mansūr se ai dil
dushman hoñ zan-o-mard vo yārāna hai us kā
kyā pūchhte ho hāl-e-'nasīm'-e-jigar-afgār
dekhā jise ḳhush-vaz.a vo dīvāna hai us kā
Top Urdushayar.com