Naseem Dehlvi

qurban ho rahi hai meri jaan idhar-udhar

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
qurbān ho rahī hai mirī jaañ idhar-udhar
vaañ rah pe hai jo zulf-e-pareshāñ idhar-udhar
jaate haiñ jab vo sū-e-chaman sair ke liye
hote haiñ saath āshiq-e-nālāñ idhar-udhar
haiñ laḳht-e-dil kahīñ to kahīñ pāra-e-jigar
rahte haiñ pesh-e-chashm-e-gulistāñ idhar-udhar
hañgāma-e-junūñ se jo donoñ hue haiñ chaak
dāman idhar-udhar hai garebāñ idhar-udhar
zulfeñ chhuTī huī haiñ jo chehre pe do taraf
lahrā rahe haiñ af.ī-e-pechāñ idhar-udhar
dekhā unhoñ ne murda mujhe maiñ ne ashk-bār
aa.e nazar haiñ ḳhvāb-e-pareshāñ idhar-udhar
yā dushmanoñ se qat.a ho yā mujh se tark-e-rabt
kyuuñ dil ko kar rahe ho mirī jaañ idhar-udhar
mutrib vahāñ haiñ jam.a navā-sāz us taraf
hote haiñ kal se aish ke sāmāñ idhar-udhar
kyuuñ kar karūñ maiñ baat chap-o-rāst-e-yār kī
rahte haiñ saath saath nigahbāñ idhar-udhar
vo apnī haT pe haiñ mujhe apne kahe kī zid
samjhā rahe haiñ donoñ ko insāñ idhar-udhar
āñkhoñ pe sā.ebāñ haiñ maze diid ke hoñ kyā
phaile hue haiñ dāman-e-mizhgāñ idhar-udhar
vo but hai maiñ huuñ sāhib-e-dīñ bahr-e-faisla
hote haiñ jam.a gabr-o-musalmāñ idhar-udhar
vo chāhte haiñ aa.eñ maiñ kahtā huuñ aap jā.ūñ
kis lutf par hai raġhbat-e-ehsāñ idhar-udhar
nālāñ vo aqrabā se maiñ huuñ muḳhbiroñ se tañg
kis kis tarah ke dil meñ haiñ armāñ idhar-udhar
harjā.ī un ko kahte haiñ be-sharm mujh ko log
uThte haiñ rāt-din yahī tūfāñ idhar-udhar
manzūr hai jo ranjish-e-sābiq kā faisla
har roz jam.a hote haiñ mehmāñ idhar-udhar
haiñ pahluoñ meñ daaġh jo donoñ taraf 'nasīm'
jalva dikhā rahe haiñ gulistāñ idhar-udhar
Top Urdushayar.com