havas ye rah ga.ī dil meñ ki mudda.ā na milā
bahut jahān meñ DhūñDhā par āshnā na milā
huā hai kaun sā ma.ashūq bā-vafā ai dil
gilā abas hai agar vo milā milā na milā
ajiib qismat-e-bad thī shab-e-firāq meñ ham
kamāl DhūñDh phire ḳhāna-e-qazā na milā
na de tū haath se huuñ zo.af se maiñ rañg-e-hinā
havā-e-shauq-e-fanā meñ jahāñ uḌā na milā
javāb degī bhalā roz-e-bāz-purs to kyā
uḌā uḌā ke hameñ ḳhaak meñ sabā na milā
vo kushta-e-nigah-e-qahr thā ki mahshar meñ
mire jalāne ko ahkām-e-dil-rubā na milā
ġharīq-e-bahr-e-sitam umr kī huī kashtī
bahut sā ham ne pukārā pa nā-ḳhudā na milā
kamāl-o-aish-o-javānī-o-mulk-o-māl-o-tarab
ye sab mile hameñ par yaar bā-vafā na milā
ajiib josh-e-junūñ meñ huī thī pāmālī
ki ek aabla tak dost-dār-e-pā na milā
chubhe hazār tamannā se kyuuñ na be-khaTke
ki ḳhaar ko koī ham sā barahna-pā na milā
bahut sī karte rahe bāġh-e-dahr meñ gul-gasht
par apne bulbul-e-dil ko 'nasīm' sā na milā