Naseem Dehlvi

shikayat se gharaz kya muddaa kya

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
shikāyat se ġharaz kyā mudda.ā kyā
nahīñ to dost dushman kā gilā kyā
na aayā nāma-bar ghabrā rahā huuñ
nahīñ ma.alūm kyā guzrī huā kyā
bahut achchhī nihāyat ḳhuub guzrī
ajī āfat-zadoñ kā pūchhnā kyā
na do mujh ko mubārakbād be-sūd
burī taqdīr vāloñ kā bhalā kyā
ye kyuuñ chitvan phirī kyuuñ aañkh badlī
bhalā maiñ ne qusūr aisā kiyā kyā
kab us kūche meñ Thahregī mirī ḳhaak
na hogā koī ehsān-e-havā kyā
umiid us se ġhalat samjhā ye o dil
sitamgar se tamannā-e-vafā kyā
baḌhā kar haath leñ un ko ye mushkil
nasīb aise mubārak phir duā kyā
na ghabrāo ajī karvaT na badlo
irāde haiñ abhī ḳhātir meñ kyā kyā
ye kab tak pārsā.ī āshiqoñ se
mohabbat hai to phir ham se hayā kyā
jigar paanī hai sadmoñ se lahū dil
mire siine meñ o zālim rahā kyā
kiyā hotā koī ehsāñ to zālim
kareñge shukr terā ham adā kyā
nahīñ mumkin ki tujh ko rahm aa.e
vo maiñ kyā aur merī iltijā kyā
ma.āz-allāh gar hai naujavānī
rahoge umr-bhar tum pārsā kyā
kahāñ hai dard dil meñ jo kaho haa.e
mazā degā hamārā mājrā kyā
kise dekhā ki bholā aap ko bhī
ta.ajjub hai ye mujh ko ho gayā kyā
'nasīm' aao zarā tum bhī suno to
ye charchā ho rahā hai jā-ba-jā kyā
Top Urdushayar.com