zargar-o-haddād ḳhush hoñ vo kareñ tadbīr ham
tauq-e-zar tum pahno pahneñ āhanī zanjīr ham
aur dīvānoñ se rakhte haiñ zarā tauqīr ham
Dālte haiñ aap apne paañv meñ zanjīr ham
kufr-o-dīñ ke qā.ede donoñ adā ho jā.eñge
zab.h vo kāfir kare muñh se kaheñ takbīr ham
yuuñ hī ḳhush karte haiñ dil apnā umīd-e-vasl meñ
khīñchte haiñ ek jā apnī tirī tasvīr ham
aa gayā jis din ḳhayāl-e-joshish-e-divānagī
chaak kar Dāleñge apnā nāma-e-taqdīr ham
sun to o zālim bhalā ye bhī koī insāf hai
lā.eq-e-altāf aadā qābil-e-tāzīr ham
vasl mere un ke hogā kuchh ab is meñ shak nahīñ
kah do āmīñ de chuke is ḳhvāb kī ta.abīr ham
roz kā jhagḌā uThā.e kaun kar lete haiñ aaj
imtihān-e-kāvish-e-qātil tah-e-shamshīr ham
kyuuñ na mustaġhnī raheñ fazl-e-ḳhudā se ai 'nasīm'
rakhte haiñ mulk-e-suḳhan kī vāqa.ī jāgīr ham