alfāz-o-ma.ānī kī karvaT jo badalte haiñ
pahlū mire matlab ke pahlū se nikalte haiñ
shakl aur badaltī hai jab shakl badalte haiñ
ham sūrat-e-ashk aksar be-pāñv bhī chalte haiñ
kuchh zor nahīñ chaltā jab zor nahīñ chaltā
vo dil kī tarah mere qaabū se nikalte haiñ
fasl aa.ī hai ye kaisī kis josh pe hai mastī
bū dete haiñ gul mai kī ham itr jo malte haiñ