kabhī hotā huuñ zāhir jalva-e-husn-e-niko ho kar
kabhī ḳhātir meñ chhup jaatā huuñ terī aarzū ho kar
kabhī kam ho ke sharmātā huuñ misl-e-qatra sāġhar meñ
kabhī kasrat se ruk jaatā huuñ shīshe kā gulū ho kar
baḌhā letā huuñ aksar rabt yār-e-pāk-dāman se
lipaT jaatā huuñ dast-o-pā se maiñ āb-e-vuzū ho kar
sukūnat se bahut baḌh ke hai merī ḳhāna-bar-doshī
rahā kartā huuñ har ḳhātir meñ terī justujū ho kar
nahīñ hai ehtiyāj-e-ġhair vaqt-e-josh-e-betābī
chhalak jaatā huuñ be-taklīf saaqī maiñ subū ho kar
sikhā.ī hai na.ī tadbīr mujh ko merī ḳhātir ne
pasand aatā huuñ dushman ko bhī terī guftugū ho kar
nahīñ chaltī koī tadbīr kyā kyā fikr karte haiñ
maiñ kar detā huuñ qaa.il sab ko terī guftugū ho kar
taqāzā-e-tamannā se na ik jā do-ghaḌī baiThe
phirāyā umr-bhar aalam meñ terī justujū ho kar
na kyuuñ kar shor ho aalam meñ merī fikr-e-ḳhātir kā
diloñ ko khīñch letā huuñ tumhārā rañg-e-rū ho kar
nahīñ mumkin kabhī tar-dāmanī meñ farq kuchh aa.e
bahā karte haiñ ashk-e-chashm mere āb-jū ho kar
nishāñ kyā pūchhte ho be-nishānoñ ke Thikānoñ kā
dimāġhoñ meñ rahā kartā huuñ maiñ gesū kī bū ho kar
kabhī mulk-e-halab meñ huuñ kabhī shahr-e-ḳhutan meñ huuñ
nahīñ rahtā tirī shohrat kī sūrat ek sū ho kar
ḳharāsh-e-zaḳhm-e-sīna muddatoñ kā duur kartā huuñ
lipaT jaatā huuñ jab shāne se zulf-e-mushk-bū ho kar
kamī maiñ bhī mirī hastī kī hastī aur paidā hai
kabhī abrū bhī ban jaatā huuñ qasr-e-ābrū ho kar
uThā letā huuñ jo aa.e musībat apne sar par maiñ
sahā kartā huuñ zulm-e-dil-rubā āshiq kī ḳhū ho kar
bhalī ko bhī samajhtā huuñ burī har dost dushman kī
nahīñ qaabū meñ maiñ rahtā mizāj-e-jañg-jū ho kar
mire soz-e-darūñ meñ sau tarah ke lutf hāsil haiñ
jalātā huuñ diloñ ko yād-e-yār-e-sham.a-rū ho kar
lahū se pairahan tar dekh kar yāroñ ne farmāyā
'nasīm' aayā hai kū-e-yār se kyā surḳh-rū ho kar