Naseem Dehlvi

manzur hai napna kamar ka

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
manzūr hai nāpnā kamar kā
paimāna banā.iye nazar kā
thā shaam se daġhdaġha sahar kā
dhaḌkā hī lagā rahā gajar kā
siine meñ se kuchh aa.ī āvāz
phūTā koī aabla jigar kā
aañsū puchh.enge kab tak ahbāb
Tapkā na rukegā chashm-e-tar kā
dil hī to hai kyā ajab bahal jaa.e
kuchh zikr karo idhar-udhar kā
kyuuñ zulf darāz kholte ho
kyā ḳhauf tumheñ nahīñ kamar kā
kuchh be-adabī huī muqarrar
siina bedhā gayā ghar kā
tanhā nahīñ gosha-e-qafas bhī
jhagḌā hai saath bāl-o-par kā
muhtāj-e-kafan nahīñ hai bulbul
parda kaafī hai bāl-o-par kā
rahte nahīñ ek dam kisī jā
batlā.eñ nishān-e-ḳhāk ghar kā
kyā kyā ham ne na ḳhaak uḌaa.ī
paayā na ġhubār tere dar kā
ho aap ke kaan tak rasā.ī
allāh ye martaba ghar kā
ai dil kunj-e-mazār dekhā
pahlā ye maqām hai safar kā
yāqūt kahāñ mire dhun meñ
TukḌā hogā koī jigar kā
ruḳhsat ruḳhsat jo kah rahe ho
ai jān-e-ḳhayāl hai kidhar kā
jab tak hai kuchh hayāt baaqī
rasta dekheñge nāma-bar kā
āñkhoñ meñ ḳhayāl aur hī hai
jalva kiyā dekhiye qamar kā
ārām kahāñ nasīb ham ko
khaTkā darpesh hai safar kā
pahuñche mire haath tak to fassād
muñh laal karūñgā neshtar kā
dauḌe lene qadam ajal ke
dhokā huā yaar kī ḳhabar kā
Thahro lāsha uThe to jaanā
jhagḌā hai aur do pahar kā
kyuuñ aa.e 'nasīm' niiñd ham ko
sar rakh ke zamīñ pe yaar sarkā
Top Urdushayar.com