dil kisī mushtāq kā ThanDā kiyā
ḳhuub kiyā aap ne achchhā kiyā
aaj hayā aañkh kī kuchh aur hai
chāhne vaalā koī paidā kiyā
haa.e re paimāñ-shikanī ke maze
jab maiñ gayā vāda-e-fardā kiyā
kuchh to kisī ne unheñ samjhā diyā
ham jo ga.e aaj to parda kiyā
go ki na thā merī taraf muñh magar
tirchhī nigāhoñ se vo dekhā kiyā
aah kī taqsīr nahīñ hai magar
be-asarī ne mujhe rusvā kiyā
kah ke le aate haiñ tumheñ hoshiyār
ye na kiyā ham ne to phir kyā kiyā
maut ke sadqe ki ye kahte the vo
aaj na us ne koī pherā kiyā
aap ke ehsān kī tārīf hai
maiñ ne agar shikva-e-a.adā kiyā
naam merā sunte hī sharmā ga.e
tum ne to ḳhud aap ko rusvā kiyā
qadr mirī tum ne na kī varna maiñ
kyā kahūñ kyā aap ko samjhā kiyā
maiñ ne to ai jān-e-jahāñ jaan dī
tum ne adā haqq-e-vafā kyā kiyā
phir vo nahā.e araq-e-sharm meñ
kis ne mire ishq kā charchā kiyā
maiñ dil-e-sad-chāk kā kahtā thā haal
shāna abas zulf se uljhā kiyā
us kī nazar meñ huā halkā 'nasīm'
mujh se mire shauq ne kyā kyā kiyā