Naseem Dehlvi

ab aae ho sada sun kar gajar ki

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
ab aa.e ho sadā sun kar gajar kī
kaho jī shab kahāñ tum ne basar kī
sahar ko dafn kar ke jā.iyegā
musībat aur hai ik rāt-bhar kī
qafas meñ band karnā thā jo taqdīr
nadāmat kyuuñ mujhe dī bāl-o-par kī
guzar jā.egī jo guzregī ham par
chalo jī raah lo tum apne ghar kī
abhī tū jaan le le ai ġham-e-ishq
musībat kaun uThā.e umr-bhar kī
ḳhudā ke vāste yaaro sambhālo
ki phir shiddat huī dard-e-jigar kī
tarashshoh āñsuoñ kā ho rahā hai
ghaTā umDī huī hai chashm-e-tar kī
na boleñge tumhāre ḳhauf se ham
hilā.eñge magar zanjīr dar kī
na aanā tum ijāzat māñgne ko
na dikhlānā hameñ sūrat safar kī
koī dam kā bakheḌā rah gayā hai
jigar tak barchhiyāñ pahuñcheñ nazar kī
hameñ fassād kā muñh dekhnā hai
uThānī hai musībat neshtar kī
habāb-āsā hai lutf-e-zindagānī
haqīqat kuchh nahīñ hotī bashar kī
'nasīm' ab dil katāñ kī tarah hai chaak
mohabbat meñ kisī rashk-e-qamar kī
Top Urdushayar.com