Naseem Dehlvi

baham buland-o-past hain kaif-e-sharab ke

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
bāham buland-o-past haiñ kaif-e-sharāb ke
āñkhoñ meñ haiñ tulū-o-ġhurūb āftāb ke
piite haiñ surḳh-o-zard pyāle sharāb ke
kyā kyā haiñ auj-o-past meñ rañg āftāb ke
barsoñ se DhūñDhtā hai mazāmīñ sharāb ke
gardūñ ulaT rahā hai varaq āftāb ke
saaqī uñDel jaam subūhī subū kī ḳhair
mushtāq kab se haiñ lab-e-shab āftāb ke
uTThe vo dūd-e-dil ki falak ho gayā siyāh
gul ho ga.e charāġh mah-o-āftāb ke
likkhūñ jo un ke chehra-e-raushan kā vasf maiñ
paidā karūñ zabān-o-dahan āftāb ke
dho de sharāb se mire añgūr zaḳhm ko
tā-jalve baḳhsheñ zaḳhm-e-kuhan āftāb ke
kho degā dūd-e-āh falak kī barahnagī
Dālegī shaam muñh pe naqāb āftāb ke
ḳhālī kahāñ falak sitam-e-rozgār se
rakhtā hai dil pe daaġh mah-o-āftāb ke
jaane to do falak pe mire nāla-e-junūñ
purze uḌā.eñge varaq-e-āftāb ke
ai charḳh-e-pīr dekh liiñ aThkheliyāñ tirī
yaad aa ga.e hameñ bhī zamāne shabāb ke
paa.ī hai maiñ ne zaḳhm se tālīm-e-ḳhāmushī
goyā lab-e-sukūt dahan haiñ javāb ke
marhūm-e-ārzū haiñ sadā-e-shikast meñ
rah rah ga.e haiñ bhar ke phaphole habāb ke
kis e.atibār meñ nafas-e-chand ai 'nasīm'
shab har ke vāste ye tamāshe haiñ ḳhvāb ke
Top Urdushayar.com