phir us ke phande meñ jā rahe haiñ ki jis ke phande meñ jā chuke the
vahī musībat uThā rahe haiñ ki jo musībat uThā chuke the
kaho jo bejā bajā hai mujh ko sazā hai jo nā-sazā hai mujh ko
ki un kā ronā paḌā hai mujh ko jo muddatoñ tak rulā chuke the
jo un kī ḳhū thī so un kī ḳhū hai jo guftugū thī so guftugū hai
phir un pe miTne kī aarzū hai jo har tarah se miTā chuke the
adū kā maiñ huuñ adū muqarrar barābar aa ke hue barābar
bhalā badaltā na rañg kyuuñ kar vo rañg apne jamā chuke the
kisī se koī na dil lagā.e 'nasīm' kyā kaifiyat batā.e
vahī ab aañsū bahāne aa.e lahū jo merā bahā chuke the