kisī sūrat to dil ko shaad karnā
hameñ dushman samajh kar yaad karnā
duā.eñ deñge chhuT kar qaidī-e-zulf
jahāñ tak ho sake āzād karnā
kahīñ vo āfrīñ aisā paḌe haath
na mujh par rahm o jallād karnā
masīhā.ī dikhānā ba.ad-e-murdan
jo dil chāhe to kuchh irshād karnā
uḌā do ḳhaak merī Thokaroñ se
agar manzūr hai barbād karnā
adab sīkhe nahīñ huuñ nau-giraftār
batā kar qā.ede bedād karnā
mazā thā bebasī kī gāliyoñ meñ
isī bhūle sabaq ko yaad karnā
bahut mushkil hai in sañgīñ-diloñ se
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-nāshād karnā
janāza uTh chuke merā to tum bhī
adā rasm-e-mubārak-bād karnā
'nasīm'-e-ḳhasta-dil ne jaan de dī
ġhazab laayā tirā bedād karnā