Naseem Dehlvi

aaya hai KHayal-e-be-wafai

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
aayā hai ḳhayāl-e-be-vafā.ī
kyuuñ jī vahī guftugū phir aa.ī
o but na sunegā koī merī
kyā terī hī ho ga.ī ḳhudā.ī
roko roko zabān roko
dene na lago kahīñ duhā.ī
sahrā meñ huī guhar-fishānī
kaam aa.ī mirī barahna-pā.ī
chāhā lekin na bach sake ham
āḳhir teġh-e-nigāh khaa.ī
toḌā kāñToñ ne ābloñ ko
barbād huī mirī kamā.ī
bosa ham aaj māñgte haiñ
karte haiñ qismat-āzmā.ī
tauba-shikanī shabāb meñ kar
kab tak ai jān-e-pārsā.ī
kaaTā din to taḌap taḌap kar
aafat kī raat sar par aa.ī
ruḳhsat hai 'nasīm' jald dekho
kar lo gar ho sake bhalā.ī
Top Urdushayar.com