bigḌe vo laakh tarah magar gul na ho sakā
maiñ apne sadqe yaañ bhī tāmul na ho sakā
go hichkiyāñ rahīñ mujhe miinā kī yaad meñ
lekin adā tarāna-e-qulqul na ho sakā
mumkin nahīñ mirā dil-e-pazh-murda shaad ho
kumhlā gayā jo ġhuncha vo phir gul na ho sakā
allāh re josh aap kī baḳhshish ke ba.ad bhī
ashkoñ se mere tark-e-tasalsul na ho sakā
bigḌā huā mizāj sambhaltā nahīñ 'nasīm'
ta.anoñ kā un ke mujh se tahammul na ho sakā