Naseem Dehlvi

barham hain wo ghair be-haya se

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
barham haiñ vo ġhair be-hayā se
māñgeñ kuchh aur bhī ḳhudā se
achchhā achchhā adū se miliye
jaao jaao jī balā se
kyā haal kaheñ dil-o-jigar kā
TukḌe TukḌe hai jā-ba-jā se
TuuTe kāñTe to zaḳhm ro.e
aañsū Tapke ḳharāsh-e-pā se
rāhat-talabī samajh ke ai dil
aise be-dard be-vafā se
matlūb vahī ki jis kī fariyād
niklegā kaam kyā duā se
ro leñ aao gale lipaT kar
fursat phir ho na ho qazā se
ham tak bhī koī shamīm-e-gesū
itnā kah dījiyo sabā se
guzre kyā jis se jaan de de
pūchho to apne mubtalā se
dekhā sab ko 'nasīm' dekhā
ḳhāmosh bayāñ mudda.ā se
Top Urdushayar.com