Naseem Dehlvi

shikayat ke ewaz hum shukr karte hain sanam tere

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
shikāyat ke evaz ham shukr karte haiñ sanam tere
mazā dene lage kuchh sahte sahte ab sitam tere
na pūchh ab mujh se tū merī umīdoñ kī ye sūrat hai
ki haiñ bhī aur nahīñ bhī jis tarah pur-lutf kam tere
jidhar tū ne kiyā ruḳh zer-e-pā merā tasavvur thā
na bāvar ho to dekh āñkhoñ meñ haiñ naqsh-e-qadam tere
lab-e-jāñ-baḳhsh-e-jānāñ kab ijāzat deñge marne kī
qayāmat tak na dekheñge qadam ḳhvāb-e-adam tere
nahīñ rakhtā koī sarmāya-e-a.amāl paas apne
bharose ke liye āshiq ke kaafī haiñ karam tere
tamannā ġhair kī karnā ḳhilāf-e-rasm-e-ulfat hai
maiñ ehsān-e-ajal kyuuñ luuñ nahīñ haiñ kyā sitam tere
zarā dekheñ to kyuuñ kar dam nikal jaatā hai sadmoñ se
firāq-e-dil-rubā aaj imtihāñ karte haiñ ham tere
mujhe bhūle nahīñ pās-e-mohabbat us ko kahte haiñ
shab-e-vaslat meñ bhī haiñ dūrī-e-jānāñ karam tere
hujūm-e-be-ḳhudī meñ ai 'nasīm' ab pās-e-ma.anī kyā
ijāzat de burā achchhā likheñ jo kuchh qalam tere
Top Urdushayar.com