Naseem Dehlvi

naseh-e-mushfiq ye mashq-e-taza farmane lage

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
nāseh-e-mushfiq ye mashq-e-tāza farmāne lage
din to thā ab raat ko bhī aa ke samjhāne lage
hazrat-e-vā.is kahīñ daulat-sarā ko jā.iye
aate hī sāmān-e-mahshar aap dikhlāne lage
aa ga.e jab yaad kuchh us rabt bāham ke maze
dil bhar aayā dīda-e-tar ashk barsāne lage
phir subū unḌle bhare shīshe hue labrez jaam
laġhzish-e-pā apnī apnī mast dikhlāne lage
bāġhbāñ hushiyār ho mushtāq-e-ruḳhsat hai bahār
rañg badlā gulistāñ kā phuul murjhāne lage
jalva-hā-e-husn chamke uTh ga.e muñh se naqāb
turra-e-gesū ke bāham saañp lahrāne lage
haath uThā ai chāragar darmān-e-be-tāsīr se
jā-e-ashk āñkhoñ se ab laḳht-e-jigar aane lage
ḳhuub ro.e dekh kar ham zevar-e-dīvāngī
jab ahibbā paañv meñ zanjīr pahnāne lage
bhTiyāñ raushan huiiñ chamkī dukān-e-mai-farosh
ruḳhsat-e-tauba huī zuhhād ghabrāne lage
fasl-e-gul aa.ī baḌhe josh-e-junūñ ke valvale
dī sadā zanjīr ne phir paañv khujlāne lage
māne-e-matlab huī vo sharam bāham ai 'nasīm'
vo ruke apnī taraf ham aap sharmāne lage
Top Urdushayar.com