kahte haiñ sun ke tazkire mujh ġham-rasīda ke
afsāne kaun suntā hai hāl-e-shunīda ke
kyā apnī musht-e-ḳhāk kī ham justujū kareñ
milte nahīñ nishān ġhubār-e-parīda ke
maiñ ḳhaak bhī huā na ga.ī par kashīdgī
ġhusse vahī rahe mire dāman-kashīda ke
jo tum meñ baat hai vo kisī aur meñ kahāñ
jalve kuchh aur hī haiñ gul-e-nau-damīda ke
sailāb-e-chashm-e-tar se zamāna ḳharāb hai
shikve kahāñ kahāñ haiñ mire āb-dīda ke
kuchh intihā nahīñ hai kahāñ tak sunā.iye
qisse darāz haiñ dil-e-nā-ārmīda ke
qatre mile jo tere pasīne ke gul-badan
ḳhvāhāñ rahe na log gulāb-e-chakīda ke
aahoñ kī dhuum hai kahīñ nāloñ ke gulgule
sāmāñ na.e haiñ roz tire ġham-kashīda ke
ārām-gāh-e-ashk hai vīrān ai junūñ
dāman haiñ taar taar qabā-e-darīda ke
o mast-e-nāz kaif ye tere suḳhan meñ hai
dhoke kalām par haiñ sharāb-e-chakīda ke
lo āshiyān-e-tan kī taraf mel tak nahīñ
dekho mizāj tā.ir-e-rañg-parīda ke
dīvāñ meñ vasf hai araq-e-jism-e-yār kā
mazmūñ kahāñ kahāñ haiñ gulāb-e-chakīda ke
mizhgāñ se bach 'nasīm' ki abrū ke paas haiñ
ye tīr-e-be-ḳhatā haiñ kamān-e-kashīda ke