Naseem Dehlvi

laDakpan mein ye zid hai jaani tumhaari

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
laḌakpan meñ ye zid hai jaanī tumhārī
abhī dekhnī hai javānī tumhārī
kahā maiñ ne Thahro to bole ye hañs kar
kabhī phir suneñge kahānī tumhārī
nisār un ke jaa.eñ jo sach jaane us ko
fasāna hamārā zabānī tumhārī
baḌī ḳhidmateñ kiiñ ab āzād kar do
bahut dekh lī mehrbānī tumhārī
chhupā.ūñ na kis tarah se jaañ badan meñ
mirī jaan ye hai nishānī tumhārī
bahut saaf haiñ gāliyāñ vāh-vā hai
sunī bārhā ḳhush-bayānī tumhārī
muqarrar balā aane vaalī hai koī
nahīñ be-sabab mehrbānī tumhārī
'nasīm' ab to ghabrā gayā dil hamārā
sune kaun pahroñ kahānī tumhārī
Top Urdushayar.com