Naseem Dehlvi

hai kahe dete hain zahmat-KHurda hai

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
hai kahe dete haiñ zahmat-ḳhurda hai
dil to hāzir hai magar pazhmurda hai
tū hī aatā hai na aatī hai qazā
dekhte haiñ jis ko vo āzurda hai
jis tarah jī chāhe rakheñ merā dil
jānte haiñ vo ki maal murda hai
manzil-e-ulfat meñ rakkheñ to qadam
rustam-o-suhrāb kā kyā gurda hai
kaun suntā hai tumhārī ai 'nasīm'
kis ko pās-e-ḳhātir-e-afsurda hai
Top Urdushayar.com