ḳhud se to aa.e na the ahl-e-zamīñ suntā hai
kyuuñ unheñ bhej ke ab un kī nahīñ suntā hai
ye agar sach hai to phir aaj ise sābit kar
ki sunā hai tū sar-e-arsh-e-barīñ suntā hai
vo jo suntā nahīñ terī to gilā kaisā hai
tū bhī kab us kī mire ḳhāk-nashīñ suntā hai
bigḌe bachche kī tarah shor machā.e jaa.e
ye mirā dil ki kisī kī bhī nahīñ suntā hai
husn ke husn taġhāful se pareshān na ho
ġhaur se baat kahāñ koī hasīñ suntā hai
bhuuk iflās daġhā jurm kī bohtāt 'vasī'
phir bhī lagtā hai tujhe koī kahīñ suntā hai