tire firāq ke lamhe shumār karte hue
bikhar ga.e haiñ tirā intizār karte hue
tumheñ ḳhabar hī nahīñ hai ki koī TuuT gayā
mohabbatoñ ko bahut pā.edār karte hue
maiñ muskurātā huā aa.ine meñ ubharūñgā
vo ro paḌegī achānak siñghār karte hue
vo kah rahī thī samundar nahīñ haiñ āñkheñ haiñ
maiñ un meñ Duub gayā e'tibār karte hue
bhañvar jo mujh meñ paḌe haiñ vo maiñ hī jāntā huuñ
tumhāre hijr ke dariyā ko paar karte hue