maiñ huuñ tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai
dil dard se niDhāl hai aur chāñd-rāt hai
āñkhoñ meñ chubh ga.iiñ tirī yādoñ kī kirchiyāñ
kāñdhoñ pe ġham kī shaal hai aur chāñd-rāt hai
dil toḌ ke ḳhamosh nazāroñ kā kyā milā
shabnam kā ye savāl hai aur chāñd-rāt hai
phir titliyāñ sī uḌne lagīñ dasht-e-ḳhvāb meñ
phir ḳhvāhish-e-visāl hai aur chāñd-rāt hai
campus kī nahr par hai tirā haath haath meñ
mausam bhī lā-zavāl hai aur chāñd-rāt hai
har ik kalī ne oḌh liyā mātamī libās
har phuul par malāl hai aur chāñd-rāt hai
merī to por por meñ ḳhushbū sī bas ga.ī
us par tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai
chhalkā sā paḌ rahā hai 'vasī' vahshatoñ kā rañg
har chiiz pe zavāl hai aur chāñd-rāt hai