ye jo chehre se tumheñ lagte haiñ bīmār se ham
ḳhuub ro.e haiñ lipaT kar dar-o-dīvār se ham
yaar kī aañkh meñ nafrat ne hameñ maar diyā
marne vaale the kahāñ yaar kī talvār se ham
ishq meñ hukm-udūlī bhī hameñ aatī hai
Talne vaale to nahīñ haiñ tire inkār se ham
rañj har rañg ke jholī meñ bhare haiñ ham ne
jab bhī guzre haiñ kisī dard ke bāzār se ham
bādshāh shā.ir-majnūñ sabhī aate haiñ yahāñ
lag ke baiThe haiñ 'vasī'-shāh ke darbār se ham