Wasi Shah

meri aankhon ke samundar mein jalan kaisi hai

Wasi Shah

1976
merī āñkhoñ ke samundar meñ jalan kaisī hai
aaj phir dil ko taḌapne kī lagan kaisī hai
ab kisī chhat pe charāġhoñ kī qatāreñ bhī nahīñ
ab tire shahr kī galiyoñ meñ ghuTan kaisī hai
barf ke ruup meñ Dhal jā.eñge saare rishte
mujh se pūchho ki mohabbat kī agan kaisī hai
maiñ tire vasl kī ḳhvāhish ko na marne dūñgā
mausam-e-hijr ke lahje meñ thakan kaisī hai
regzāroñ meñ jo bantī rahī kāñToñ kī ridā
is kī majbūr sī āñkhoñ meñ karan kaisī hai
mujhe ma.asūm sī laḌkī pe taras aatā hai
use dekho to mohabbat meñ magan kaisī hai
Top Urdushayar.com