Wasi Shah

gali mein dard ke purze talash karti thi

Wasi Shah

1976
galī meñ dard ke purze talāsh kartī thī
mire ḳhutūt ke TukḌe talāsh kartī thī
kahāñ ga.ī vo kuñvārī udaas bī-āpā
jo gaañv gaañv meñ rishte talāsh kartī thī
bhulā.e kaun aziyyat-pasañdiyāñ us kī
ḳhushī ke Dher meñ sadme talāsh kartī thī
ajiib hijr-parastī thī us kī fitrat meñ
shajar ke TūTte patte talāsh kartī thī
qayām kartī thī vo mujh meñ sūfiyoñ kī tarah
udaas ruuh ke goshe talāsh kartī thī
tamām raat ko parde haTā ke chāñd ke saath
jo kho ga.e the vo lamhe talāsh kartī thī
kuchh is liye bhī mire ghar se us ko thī vahshat
yahāñ bhī apne hī pyāre talāsh kartī thī
ghumā-phirā ke judā.ī kī baat kartī thī
hamesha hijr ke harbe talāsh kartī thī
tamām raat vo zaḳhma ke apne poroñ ko
mire vajūd ke reze talāsh kartī thī
duā.eñ kartī thī ujḌe hue mazāroñ par
baḌe ajiib sahāre talāsh kartī thī
mujhe to aaj batāyā hai bādaloñ ne 'vasī'
vo lauT aane ke raste talāsh kartī thī
Top Urdushayar.com