Wasi Shah

dukh-dard ke maron se mera zikr na karna

Wasi Shah

1976
dukh-dard ke māroñ se mirā zikr na karnā
ghar jaao to yāroñ se mirā zikr na karnā
vo zabt na kar pā.eñgī āñkhoñ ke samundar
tum rāh-guzāroñ se mirā zikr na karnā
phūloñ ke nasheman meñ rahā huuñ maiñ sadā se
dekho kabhī ḳhāroñ se mirā zikr na karnā
shāyad ye añdhere hī mujhe raah dikhā.eñ
ab chāñd sitāroñ se mirā zikr na karnā
vo merī kahānī ko ġhalat rañg na de deñ
afsāna-nigāroñ se mirā zikr na karnā
shāyad vo mire haal pe be-sāḳhta ro deñ
is baar bahāroñ se mirā zikr na karnā
le jā.eñge gahrā.ī meñ tum ko bhī bahā kar
dariyā ke kināroñ se mirā zikr na karnā
vo shaḳhs mile to use har baat batānā
tum sirf ishāroñ se mirā zikr na karnā
Top Urdushayar.com