Wasi Shah

main is hisar se niklun to aur kuchh sochun

Wasi Shah

1976
maiñ is hisār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tumhāre pyaar se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tirī galī ke alāva bhī aur qarye haiñ
jo is dayār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tumhāre hijr kī sadiyāñ tumhāre vasl ke din
maiñ is shumār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
rachā huā hai tirā ishq merī poroñ meñ
maiñ is ḳhumār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
ye merā jism ki mātam sarā.e hasrat hai
maiñ is mazār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
ye mujh meñ kaun mire raat din sambhāltā hai
is iḳhtiyār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tumhāre jism kī ḳhushbū ne kar diyā mas.hūr
is ābshār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
ye be-qarārī mirī ruuh kā ujālā hai
maiñ is qarār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
Top Urdushayar.com