jo us ke sāmne merā ye haal aa jaa.e
to dukh se aur bhī us par jamāl aa jaa.e
mirā ḳhayāl bhī ghuñgrū pahan ke nāchegā
agar ḳhayāl ko terā ḳhayāl aa jaa.e
har ek shaam na.e ḳhvāb us pe kāḌeñge
hamāre haath agar terī shaal aa jaa.e
inhī dinoñ vo mire saath chaa.e piitā thā
kahīñ se kaash mirā pichhlā saal aa jaa.e
maiñ apne ġham ke ḳhazāne kahāñ chhupā.ūñgā
agar kahīñ se koī indimāl aa jaa.e
har ek baar na.e Dhañg se sajā.eñ tujhe
hamāre haath jo phūloñ kī Daal aa jaa.e
ye Dūbtā huā sūraj Thahar na jaa.e 'vasī'
agar vo sāmne vaqt-e-zavāl aa jaa.e