abhī to ishq meñ aisā bhī haal honā hai
ki ashk roknā tum se muhāl honā hai
har ek lab pe hai merī vafā ke afsāne
tire sitam ko abhī lā-zavāl honā hai
bajā ki ḳhvāb haiñ lekin bahār kī rut meñ
ye tai hai ki ab ke hameñ bhī nihāl honā hai
tumheñ ḳhabar hī nahīñ tum to lauT jāoge
tumhāre hijr meñ lamha bhī saal honā hai
hamārī ruuh pe jab bhī azaab utreñge
tumhārī yaad ko is dil ko Dhaal honā hai
kabhī to ro.egā vo bhī kisī kī bāñhoñ meñ
kabhī to us kī hañsī ko zavāl honā hai
mileñgī ham ko bhī apne nasīb kī ḳhushiyāñ
bas intizār hai kab ye kamāl honā hai
har ek shaḳhs chalegā hamārī rāhoñ par
mohabbatoñ meñ hameñ vo misāl honā hai
zamāna jis ke ḳham-o-pech meñ ulajh jaa.e
hamārī zaat ko aisā savāl honā hai
'vasī' yaqīn hai mujh ko vo lauT aa.egā
use bhī apne kiye kā malāl honā hai