kaisā maftūh sā manzar hai ka.ī sadiyoñ se
mere qadmoñ pe mirā sar hai ka.ī sadiyoñ se
ḳhauf rahtā hai na sailāb kahīñ le jaa.e
merī palkoñ pe tirā ghar hai ka.ī sadiyoñ se
ashk āñkhoñ meñ sulagte hue so jaate haiñ
ye mirī aañkh jo banjar hai ka.ī sadiyoñ se
kaun kahtā hai mulāqāt mirī aaj kī hai
tū mirī ruuh ke andar hai ka.ī sadiyoñ se
maiñ ne jis ke liye har shaḳhs ko nārāz kiyā
ruuTh jaa.e na yahī Dar hai ka.ī sadiyoñ se
us ko aadat hai jaḌeñ kāTte rahne kī 'vasī'
jo mirī zaat kā mehvar hai ka.ī sadiyoñ se