Wasi Shah

Dubta saf nazar aaya kinara koi dost

Wasi Shah

1976
Dūbtā saaf nazar aayā kināra koī dost
phir bhī kashtī se nahīñ ham ne utārā koī dost
jab bhī nekī kā koī kaam kiyā hai ham ne
de diyā rab ne hameñ aap se pyārā koī dost
jiit par ḳhush ho tujhe is se ġharaz kyā mire yaar
terī ḳhushiyoñ ke liye jaan se haarā koī dost
kaise jī pā.eñge is shahr-e-pareshāñ meñ jahāñ
koī dushman hai hamārā na hamārā koī dost
kuchh to jiine ke liye ham ko bhī de rabb-e-karīm
sāġhar-o-mīnā kisī ġham kā sahārā koī dost
ruuTh jaa.e mirī āñkhoñ se bhale bīnā.ī
kaash rūThe na 'vasī' aañkh kā taarā koī dost
Top Urdushayar.com