Wasi Shah

samundar mein utarta hun to aankhen bhig jati hain

Wasi Shah

1976
samundar meñ utartā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tirī āñkhoñ ko paḌhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tumhārā naam likhne kī ijāzat chhin ga.ī jab se
koī bhī lafz likhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tirī yādoñ kī ḳhushbū khiḌkiyoñ meñ raqs kartī hai
tire ġham meñ sulagtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
na jaane ho gayā huuñ is qadar hassās maiñ kab se
kisī se baat kartā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
maiñ saarā din bahut masrūf rahtā huuñ magar jūñhī
qadam chaukhaT pe rakhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
har ik muflis ke māthe par alam kī dāstāneñ haiñ
koī chehra bhī paḌhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
baḌe logoñ ke ūñche bad-numā aur sard mahloñ ko
ġharīb āñkhoñ se taktā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tire kūche se ab merā ta.alluq vājibī sā hai
magar jab bhī guzartā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
hazāroñ mausamoñ kī hukmarānī hai mire dil par
'vasī' maiñ jab bhī hañstā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
Top Urdushayar.com