Wasi Shah

bandh len hath pe sine pe saja len tumko

Wasi Shah

1976
bāñdh leñ haath pe siine pe sajā leñ tum ko
jī meñ aatā hai ki ta.avīz banā leñ tum ko
phir tumheñ roz sañvāreñ tumheñ baḌhtā dekheñ
kyuuñ na āñgan meñ chamelī sā lagā leñ tum ko
jaise bāloñ meñ koī phuul chunā kartā hai
ghar ke gul-dān meñ phūloñ sā sajā leñ tum ko
kyā ajab ḳhvāhisheñ uThtī haiñ hamāre dil meñ
kar ke munnā sā havāoñ meñ uchhāleñ tum ko
is qadar TuuT ke tum pe hameñ pyaar aatā hai
apnī bāñhoñ meñ bhareñ maar hī Dāleñ tum ko
kabhī ḳhvāboñ kī tarah aañkh ke parde meñ raho
kabhī ḳhvāhish kī tarah dil meñ bulā leñ tum ko
hai tumhāre liye kuchh aisī aqīdat dil meñ
apne hāthoñ meñ duāoñ sā uThā leñ tum ko
jaan dene kī ijāzat bhī nahīñ dete ho
varna mar jaa.eñ abhī mar ke manā leñ tum ko
jis tarah raat ke siine meñ hai mahtāb kā nuur
apne tārīk makānoñ meñ sajā leñ tum ko
ab to bas ek hī ḳhvāhish hai kisī moḌ par tum
ham ko bikhre hue mil jaao sambhāleñ tum ko
Top Urdushayar.com