Wasi Shah

kisi ki aankh se sapne chura kar kuchh nahin milta

Wasi Shah

1976
kisī kī aañkh se sapne churā kar kuchh nahīñ miltā
muñDeroñ se charāġhoñ ko bujhā kar kuchh nahīñ miltā
hamārī soch kī parvāz ko roke nahīñ koī
na.e aflāk pe pahre biThā kar kuchh nahīñ miltā
koī ik aadh sapnā ho to phir achchhā bhī lagtā hai
hazāroñ ḳhvāb āñkhoñ meñ sajā kar kuchh nahīñ miltā
sukūñ un ko nahīñ miltā kabhī pardes jā kar bhī
jinheñ apne vatan se dil lagā kar kuchh nahiñ miltā
use kahnā ki palkoñ par na Tāñke ḳhvāb kī jhālar
samundar ke kināre ghar banā kar kuchh nahīñ miltā
ye achchhā hai ki aapas ke bharam na TūTne paa.eñ
kabhī bhī dostoñ ko aazmā kar kuchh nahīñ miltā
na jaane kaun se jazbe kī yuuñ taskīn kartā huuñ
ba-zāhir to tumhāre ḳhat jalā kar kuchh nahīñ miltā
faqat tum se hī kartā huuñ maiñ saarī raaz kī bāteñ
har ik ko dāstān-e-dil sunā kar kuchh nahīñ miltā
amal kī sūkhtī rag meñ zarā sā ḳhuun shāmil kar
mire hamdam faqat bāteñ banā kar kuchh nahīñ miltā
ise meñ pyaar kartā huuñ to mujh ko chain aatā hai
vo kahtā hai use mujh ko satā kar kuchh nahīñ miltā
mujhe aksar sitāroñ se yahī āvāz aatī hai
kisī ke hijr meñ nīndeñ gañvā kar kuchh nahīñ miltā
jigar ho jā.egā chhalnī ye āñkheñ ḳhuun ro.eñgī
'vasī' be-faiz logoñ se nibhā kar kuchh nahīñ miltā
Top Urdushayar.com