Salik Dehlvi

mujh na-tawan pe hashr mein wahm-e-fughan ghalat

Salik Dehlvi

mujh nā-tavāñ pe hashr meñ vahm-e-fuġhāñ ġhalat
maiñ guftugū kī taab rakhūñ ye gumāñ ġhalat
tum bhī vahī kaho to kaheñ sab bajā durust
maiñ bhī vahī kahūñ to kahe ik jahāñ ġhalat
garmī se us ke husn kī kis kā jigar jalā
tashbīh-e-mehr-o-rū-e-nikū-e-butāñ ġhalat
kahiye asīr-e-ḳhvāhish-e-sumbul koī huā
denī misāl-e-kākul-e-ambar-fishāñ ġhalat
sach hai ki aadmī ko ġharaz aadmī se hai
vaa.iz bayān-e-dilkash-e-hūr-e-jināñ ġhalat
kah kar tamām 'sālik'-e-ġham-gīñ kā mājrā
maiñ ne kahā ġhalat hai to bole ki haañ ġhalat
Top Urdushayar.com