Wasi Shah

ab jo lauTe ho itne salon mein

Wasi Shah

1976
ab jo lauTe ho itne sāloñ meñ
dhuup utrī huī hai bāloñ meñ
tum mirī aañkh ke samundar meñ
tum mirī ruuh ke ujāloñ meñ
phuul hī phuul khil uThe mujh meñ
kaun aayā mire ḳhayāloñ meñ
maiñ ne jī-bhar ke tujh ko dekh liyā
tujh ko uljhā ke kuchh savāloñ meñ
merī ḳhushiyoñ kī kā.enāt bhī tū
tū hī dukh-dard ke havāloñ meñ
jab tirā dostoñ meñ zikr aa.e
Tiis uThtī hai dil ke chhāloñ meñ
tum se ābād hai ye tanhā.ī
tum hī raushan ho ghar ke jāloñ meñ
sāñvlī shaam kī tarah hai vo
vo na goroñ meñ hai na kāloñ meñ
kyā use yaad aa rahā huuñ 'vasī'
rañg ubhre haiñ us ke gāloñ meñ
Top Urdushayar.com