Wasi Shah

kya kahen tujhse ki kis kis ke karam hain hum hain

Wasi Shah

1976
kyā kaheñ tujh se ki kis kis ke karam haiñ ham haiñ
kuchh tire kuchh tirī duniyā ke sitam haiñ ham haiñ
tū ne pūchhā hai to ahvāl batā dete haiñ
bas tirī yaad hai aur āḳhirī-dam haiñ ham haiñ
haa.e kyā jaan ke darvāza na kholā us ne
ham pukārā hī kiye yaar ye ham haiñ ham haiñ
kaise kaise vo kiyā kartā hai va.ade ham se
sub.h se shaam talak us ke bharam haiñ ham haiñ
sāqiyā ham se bhī derīna marāsim haiñ tire
ye jo mahrūm-e-qadah ġharq-e-alam haiñ ham haiñ
tū hī shīrāza-e-jāñ hai tū hī shīrāza-e-dil
jab talak ham pe tire jaur-o-sitam haiñ ham haiñ
jin ko majnūñ bhī kiyā kartā hai jhuk kar ādāb
garche is tarah ke āshiq baḌe kam haiñ ham haiñ
ye hamārā hai kisī aur kā lāsha to nahīñ
kis liye aañkh ke goshe tire nam haiñ ham haiñ
sāqiyā hifz-e-marātib kā zarā dhyān rahe
aisā lagtā hai ki me.aar se kam haiñ ham haiñ
ġhair ke dam se hai raunaq bhī charāġhāñ bhī 'vasī'
terī mahfil meñ agar sabz-qadam haiñ ham haiñ
Top Urdushayar.com