bhuul saktā hai unheñ koī bhī aise kaise
raftagāñ dil meñ basā karte haiñ kaise kaise
jaan le kar bhī agar ḳhush nahīñ hone vaalā
koī batlā.e vo phir mānegā vaise kaise
hañste hañste vo judā.ī ko bhī sah jā.egā
zinda rah pā.eñge lekin mire jaise kaise
vo to anmol hai nāyāb hai iklautā hai
us kī tashbīh kareñ ham kisī shai se kaise
ye mire yaar kī āñkhoñ meñ rahā kartī thī
pūchhiye kuchh na huī dostī mai se kaise
zindagī ye tirī raftār ajab tarz kī hai
chalnā chāheñ to chaleñ ham tirī lai se kaise
zindagī se tujhe be-daḳhl to kar deñ jānāñ
par tū nikle bhī to nikle rag-o-pai se kaise
kis tarah koī bhulā de tujhe dekho to 'vasī'
mashvare ham ko milā karte haiñ kaise kaise